NFC KYA HOTA HAI ??? (what is NFC ? What is this N symbol on to the back cover of mobile ??)
Hello friends, aap log bluetooth, wifi, infared ke bare me to jante hi hai but apne kabhi NFC ke bare me suna hai ??? agar nahi suna hai to aj hum iss post me apko bataenge ke NFC hota kya hai our isko kaise use karte hai so friends let's start....
NFC
Friends aapne android smart phone or i phone me NFC ka option dekha hoga but apne iska use nahi kiya hoga to chaliye hum aj NCF ka use dekhte hai our iske advantages bhi samjhte hai, so friends NFC ek wireless connectivity service hai jo bluetooth and wifi ki tarah hi kaam karta hai but ye kuch alag tareeke se kaam karta hai NFC ko Near field communication kehte hai and NFC ka transmission me electromegnatic field ka use hota hai. NFC 424 kbps ki rate tak data transfer ko support karta hai, ajkal new smart phone NFC enabled hai jiska use karke hum NFC enabled devices ko apas me connect karke communication our file exchange kar sakte hai NFC se devices connect karne ke liye smart phone ka NFC feature on karke other NFC enabled Device or Mobile ko bahut hi kam distance aprox 4-5 cm pas lakar or touch karke connect kiya jata hai isi type se hum NFC use karke apne mobile ko atm ki tarah use kar sakte hai iske liye hame atm card ki detail pehle mob me feed karni hogi then atm or POS machine se thouch karana hoga. issi tarah ke bahut sare kaam NFC ke dwara kiye ja rahe hai.
NFC 3 modes par work karta hai.
I.Peer to peer mode - Issme dono devices ke beech data exchange hota hai.
II.Read and write mode - Isme NFC active device link se NFC tags ki information ko read karta hai.
III.Card Emulation - Iss mode ka use payment ke liye ATM card ki tarah use kiya jata hai.