GOOGLE SMART SEARCHING TIPS.
Hello friends, welcome again with new post so aj ki hmari post h google ke bare me, friends Technology k iss zamane me google use karna to aam bat hai, mind me kisi bhi type ka question aya our hum sabse pehle usse google par hi search karte hai but google me kuch advance search features bhi hai jinka use hum nahi karte hai, so friends aj hum google ki kuchh smart searching tips ke bare me batane wale hai. jinka use karke hum google search ko our bhi interesting bana sakte hai our apna time bhi save kar sakte hai, google me aisi bahut si jankari hoti hai jinke bare me hame pta nhi hota hai ke google search engine se hum kya kya kr sakte hai.... to chaliye friends suru karte hai....
Iske liye bas hume google search engine m kch "keywords" type krne pdte hai our quickly result show hone lagte hai our hum wo kaam bhi google ki help se asani se kar sakte hai jinke liye hame alag se apps ki zarurat hoti hai so friends chaliye dekhte hai google ki kuch smart searching tips.
Atari breakout : agar ap computer me free online games ko
enjoy karna cahte hai to iss keyword ka use kar sakte hai.
Flip a coin : agar apko pass coin nahi hai our toss karne ki
zarurat ho to ap iss keyword ka use kar sakte hai.
Roll a dice : iss keyword se online dice ka use kar sakte hai.
Time - Iss keyword ka use karke hum current location par current time dekh sakte hai. e.g - Time of "country/city name"
2.) time of New York - isse New york ka current time Show hoga.
Set timer - iss keyword se timer set kar sakte hai
Sunrise Sunset - Iss keyword se ham kisi bhi city or place ka
sunrise and sunset time dekh sakte h, ye hi nahi hum today, tomorrow and yesterday ka time bhi dekh dakte hai our kisi bhi day and date ka sunrise and sunset dekh sakte hai bas apko type karna hai - sunrise sunset
"city name" "day month year"
Example - "Sunrise sunset hoshangabad 17 September 2018"
Festivals - Diwali 2018, holi, eid, christmas etc. - iss keyword
ka use karke hum kisi bhi festival ki date and day pata kar sakte hai ki ye festival iss saal kis date and day par hai or previous year me kis date par tha. hamne yha diwali search kiya hai iss type se ap kisi bhi festival our year type krke ye pata kar sakte hai ke iss saal iss festival ki date kya hai or previouse year ki date bhi dekh sakte hai.
Example - 1.) Friendship day date
2.) Diwali 2018
Calculator - hum google par koi bhi mathematical question
directly solve kar sakte hai iske liye direct search box me number enter kare.
Example - 1.) 18% of 200 - typle karke enter karne par
online calculator par result 36 show ho lagega.
2.) 17*18 - type karke enter karne to result me 306 show hoga.
Equation Solving - Google se ham online equation solve kar sakte hai.
Example - 13*8+(sqrt 87)= type karke enter kare apko result me 113.32 show hone lagega.
Numaric value in english - agar hum koi numaric value dalkar
in engliah likhte hai to wo value hume english word me results show hoga.
Example - 1064305 in English
Convert - hum google par online converter ka use kar sakte hai isse hum currency or UOM (unit of measure) convert kar sakte hai.
Example - 1.) 100 rupees to dollar 2.) 1 inch to mm
VS - Versus ka use 2 similar category ki cheejo ko compare karne ke liye kiya jata hai.
Example - Apple vs Orange
Example - Convert 5:30 AM GMT to New Delhi.
- (-) minus/dash/hyphen ka use kisi perticular search ke liye kiya jata hai manlo hume hp ke product khareedna hai ab hp ke bhut sare products aate hai to hme specify karna hoga k product kya dekhna hai.
Example - buy pendrive-hp
Site: - site ka use kisi perticular website ke andar content ko
dekhne ke liye kiya jata hai.
Example - site:youtube.com what is nfc ?
Related : - related keyword ka use uss site ki related site ko dekhne ke liye kiya jata hai.
Example - related:google.com
Navigation - Isse hum 2 location k beech directions and distance pata laga sakte hai.
Example -
Get Info about Celebrities and Personalities.
Example - Emma watson age.
* - * (asterisk) also known as wildcard, "*" ka use jab kiya jata hai jab hume koi sentence theek se yad nahi rehta hai ye koi songs or other sentence bhi ho sakta hai isme google engine automatic uss sentence ko complete kar deta hai our related sentence suggest karta hai.
Example - when we type "life is not * yourself " suggested - life is not finding yourself but creating.
Images.google.com - hame koi aisi cheej dekhi jiske bare
me hame pata nahi hai to goole par uss cheej ki image upload karke pata laga sakte hai.
Filetype: - filetype ka use kisi particular file format ki file ko download karne ke liye kiya jata hai. manlo hame "project management plan template" ki file pdf, ppt or doc format me download krna hai to results par touch karke directly file download kar sakte hai.
Define: - define jaisa ki name se hi pata chal jata hai ke kisi
bhi words/things ko define karna or paribhashit karna. isse kisi ke bhi bare me quickly only definitions dekh sakte hai. neeche example me humne computer ko search ke liye define ka use kiya hai jo quickly short me result show karata hai.
Example - Define:computer
Etymology: - Mean shabdo(words) ki utpatti iss keyword se words ki utpatti kaise hui h ye pata kiya ja sakta hai.
Example - Etymology:big
IP - Iss keyword se hum apna public ip address pata kar sakte hai.
Example - IP
"If you like this post so dont forget to subscribe & share.hum aise hi interesting information post karte rehenge so keep visit guys"
Thanks.